Taalash
[Intro]
Tu hai ek ka, ya tu hi sabka,
Ye bata de, ab hamein,
Tujhko poojein, tujhko maanein,
Tujhpe hi ye, mar mitein,
Tu hai sunta, tu samajhta,
Par nahi hai, tu yahan,
Is zameen ka, is sadi ka,
Hai savera, ab kahaaan,
Tere jahaan mein kyon nafratein,
Kyon sarhadein be-panaah,
Hai is talaash mein hasratein,
Ki dhoondein naya ek jahan.
[Interlude]
[Stanza]
Raaton ke saaye, mein dard ko chhupaaye,
Rahega kab tak jahaan,
Hai har taraf niraasha, na bhor ki hai aasha,
Hai jeene ke maksad kahan,
Raaton ke saaye, mein dard ko chhupaaye,
Rahega kab tak jahaan,
Hai har taraf niraasha, na bhor ki hai aasha,
Hai jeene ke maksad kahan,
Tu hi ik aasra, karta sab ka bhala,
Japte jaayein sabhi jo tujhe,
Phir bhi laashein bichin, tere kadmon mein hi,
Aur lahoo behta jaaye, ki tu hi sitam tu hi marham,
Ye nahi wo jahaan,
Jis pe tu meharbaan,
Hai bata de kahaan,
Teri wo zamin, tera aasmaan.
[End]
a