Manthan
(Intro)
Chal pada hun in raaston pe,
Anjaan dagar anjaan safar pe,
Hai makaan na manzil koyi hai,
Dhundla nazaara dekhe nazar jidhar,
Sab chhodkar, na jaane kidhar,
Bas itni khabar, ki ab main
Chal pada, chal pada.
Chal pada hun in raaston pe,
Anjaan dagar anjaan safar pe,
Hai makaan na manzil koyi hai,
Dhundla nazaara dekhe nazar jidhar,
Sab chhodkar, na jaane kidhar,
Bas itni khabar, ki ab main
Chal pada, main chal pada.
(Interlude)
(Stanza)
Hai nazar mein laakhon dishayein,
Rah dhoondti hai nigaahein,
Poochta hun gumsum hawa se,
Kis taraf hai mera kinara.
Har kadam pe bikhre hain sapney,
Khwahishon ke hain daam apne,
Har koyi hai apni hi dhun mein,
Kaun kiska hai ab sahaara.
Kya chahta hun jahaan se,
Kya talaashta hun yahan pe,
Kya maangoon ab main khuda se,
Hmmmm....
Mushkil dagar, na koyi fikar,
Bina hamsafar, akela
Chal pada, chal pada,
Chal pada, main chal pada.