Kya Khata


khayalon mein tha na zikr tera, tu hai na koi ghazal...
jo dekha tujhe...aahaaahaa...

tha khusro ne tujhko socha kabhi, to bola zara sambhal...
hai chab woh teri....aahaahaa...

sukoon bhi mila...mila dard bhi...hai kaisi teri yeh sazaa..
yun thi mili...abhi kho gayi...to hai ab teri kya razaa...

dekho chala...yaar mera...raste mein dildar ke...
kya ki khata...kuchh na pata...khoj mein jis pyaar ke...

------------
Stanza

Kis tarah...karun yakeen...sach hai yeh...waham nahin...
Ek nazar...mein pyaar yun...hota hai kya...chhal to nahin...

kismat ki baat hai ya bas mere...paana usko mere khuda...
sankat mein hoon...zara ishara to de...bachpan mein tha ji padha..

kis bhanwar mein kood gaya...mujhko bacha !
-----------

Jo tu na mila, hansi chhin gayi, hai iska gavah yeh khuda,
Sooni padi, dagar har meri, hai tumko pukare dil mera.....