Dooriyaan
Tanhaiyon se itna kyon yeh pyaar karte hain
Kyon aakhri pal beetne se inkar karte hain
Tanhaiyon se itna kyon yeh pyaar karte hain
Kyon aakhri pal beetne se inkar karte hain
Oh humsafar teri dagar yeh nazar har pal take
Aahat se har chaahat teri dil mein jage
Oh humsafar tere bina har sahar sooni lage
Sunle yeh dhadkane ab aa bhi jaa
lala-lala lala-lala lala-lala-lala
lala-lala lala-lala lalala-lala
Faasle ghat rahe...
Par bhaaye na do pal ki bhi dooriyan...
Ab jo paas aao tum...
To bhoole se bhi jaane main doongi na...
Teri aas mein hui main yun banwri...(Jaise meera ghanshyam ki)
Aa bhi jaao ki Meera ja chuki, Radha hai ab tak rahi.
Oh humsafar, chhedo na yun, tarsao na mujhe...
Tere liye hain sapne kai dil ne bune...
Oh humsafar, barso zara ya garaj ke goonj ke...
Sabr khatam hone ko hai, aa bhi jaa...